Kiya kisi ko Sirf Sajda karna hi Shrikh hay?
Ajj kal musalman kai groups main batay hoay han. Kuch Muslaman asay han Jo Siray say apnay deen k baray main sochtay hi nahi Ore Unhon nay apnay Deen ko Ulma k Supard kar rakha hay k jo wo kahen gay hum woi Hukam Baja laean gay. Bila Shuba Har Muslaman ko Ulma ki Zarorat rahi hay Ore Mokhlis Ulma k Bagar Musalmano k liay Sidhay rastay per Chalna to Dor, Sidha Rasta Dondna hi Dar Kinar ho jay. Lakin Iss bate ki areh main kisi Alam ya molvi ko Khuda bana lana, parlay Darjay ki kam Aqli ore Deen e Islam ka Faham na honay ka Saboot hay. Kiun k Hazrat Muhammad (S.A.W) nay Farmaya:
Wo un ki Hilal Karda Ashiya ko Hilal ore Haram karda Ashiya ko Haram Gardantay han. Ore yeh in ki Ebbadat hay. (Tafseer Al Alal Qadeer 2/331)
Lihaza Ebadat Sirf Sajday karnay ka naam nai hay. Ore kisi ko Kuda bana lanay ki yeh Daleel Rasool Allah (S.A.W.) nay Tohkra di. K Hum kisi ko Sajda nahi kartay. Bal k Har kisam ki Ebadat main Allah ko Tan Tanha tasleem karna Momino ka Shawa hay. Misal k Tor per DUA bi Ebadat hay. Rasool Allah(S.A.W.) nay Farmaya: Bay Shak DUA hi Ebadat hay (Abu Daud, Tirmizi) Tirmizi ore IBN E Habban nay Isay Sahi Kaha.
Agar Hum Dua main bi Allah k Siwa kisi ore k Namon ka Sahara laen, to Hamain Samajh jana chahiay k wo Wakat Aa pohncha hay. Jis k Baray main Rasool Allah (S.A.W.) nay Farmaya tha:
Itni Daar tak Qiyamat Qaiem nahi ho gi jab tak mari Ummat k Qabael Mushrikeen k sath na mil jaen ore yahan tak k mari Ummat k Qabael Boton ki Ebadat karen gay.(Abu Daud, Kitab ul Fitan).
Mushrikeen k sath milna un ki Payrawi Karna hi to hay.
Kuch Bahion ka yeh Aqeeda hay. k Musalman kasay Mushrik ho Sakta hay: to iss baray main ak Hadees Molahiza farmain:
Muawiya Bin Hida (R.A.) nay kaha, k Rasool Allah (S.A.W) nay Farmaya:
Allah Tahalah kisi asay mushrik ka Amal qabool nahi karta jis nay Islam lanay k baad Shirk kiya, Hata k Mushrikeen ko chor kar Musalmano main Jaay. (Ibn e Maja).
Lihaza Hamain Chahiay k har Mumkin toor per Shrik say Bachaen. Kiun k Ajj tak jitnay Anbiya Tashreef laay in k Tableeg ka Bonyadi Nokta Towheed tha. Allah Tahala nay Farmaya:
Bay Shak Shirk Bara Zulam hay. (Surah Luqman).
Wo Deen jis say Towheed pahli jahan main
Hoa Jalwa gar HAQ Zamen wa Zaman main.
Raha Shirk baqi na Waham wa Goman main.
Wo badal Gaya Aa k Hindustan main.
Hamasha say tha Islam jis pay Nazan,
Wo Dolat bi koh Bathay Akhir Musalman...

No comments
Post a Comment