Sunday, November 20, 2011

Jannatul Baqi, Madina Munawara

Jannatul Baqi Madina Munawara ka Khas Qabrastan hay, jis main Ahle Bait ore Sahaba Madfoon han. Hijrat e Nabvi k wakat yahan ak madan tha. ... thumbnail 1 summary
Jannatul Baqi Madina Munawara ka Khas Qabrastan hay, jis main Ahle Bait ore Sahaba Madfoon han. Hijrat e Nabvi k wakat yahan ak madan tha. Jis main lambi lambi ghass ore Khar dar Jahrian then. Sab say pahlay yahan Usman bin Mazgon (R.A) Sahabi dafan hoay. iss k bad Rasool Allah (S.A.W) ki Sahabzadian, pher Sahabzaday Ibarhim ore Azwaj e Mutahirat (R.A) Dafan hoen. Lihaza iss ki Azmat barh gai. Ore Loog isay Jannatul Baqi kahnay lagay ore yahan Khas Khas loog hi Dafan kiay janay lagay. Hazrat Hassan (R.A) ka maqbara bohat oncha banaya gaya tha. Saudi Haqumat nay in tamam maqbaron ko masmar kar diya. Kiun k wahan bi Qabron per Shirkiya Aqaid Shoron ho gay thay.
Ab wahan Kachi Qabran baqi han. jin per koi katba waqara nai hay. ore Deen Islam k Aan motabik hay. Har qabrastan ko isi tarhan hona Chahiay.
yeh qabrastan Madina munawara k janob mashraki goshay main wakiaa hay. iss main Dakhil honay k liay ak darwaza hay jo Babal Baqi Kahlata ha.
جنت البقیع مدینہ منورہ



No comments

Post a Comment